Tuesday, August 6, 2013

Sharabi aur Pujari

Ek Sharabi Sarab Pee kar ghar jaa raha tha...
Raste main Mandir ke bahar Pujari dikha.
Sharabi ne pujari se poocha, sabse bada kaun?
Pujari ne peecha chudane ke liye kaha "Mandir Bada"..
Sharabi bola - Mandir bada to dharti pe kaise khada
Pujari : "Chalo bhai Dharti badi"
Sharabi : "Dharti badi to Sheshnaag pe kyun khadi"
Pujari : "Sheshnaag bada"
Sharabi : "Sheshnaag bada to Shiv ke gale main kyon pada"
Pujari : "Chalo bhai Shiv bada"
Sharabi : "Shiv bada to Parbat par kyon khada"
Pujari : "Parbat bada"
Sharabi : "Parbat bada to Hanuman ki ungli pe kyon pada"
Pujari : "Hanuman bada"
Sharabi : "Hanuman bada to Ram ki charno main kyon pada"
Pujari : "Ram bada"
Sharabi : "Ram bada to Ravan ke piche kyun pada"
Pujari : "Arey mere baap tu bata kaun bada"
-
-
-
-
-
-
-
Sharabi : "Is duniya main wo bada jo Puri bottle pee ke apni taango pe khada"

No comments:

Post a Comment